Khoob thaka tu apno ki wajah
Apnon ke liye thahar ja
Saje hain jo sapne aankhon mein tere
Thoda aur sajne de
Daud bhaag ke chhalon par
Waqt ko marham rakhne de
Ghar ko jise banane mein
Umar ki ginti na rahi
Bhaagte bhaagte bistaron pe
Kab raat ki subah hui
Kya banaya kya sajaya
Thoda to hisaab rakhta ja
Khoob thaka tu apno ki wajah
Apno ke liye thahar ja thaher ja
Thahar ja, thaher ja
Shikayaton ke khat hai aankhon mein
Karte kitne hi sawaal
Ab likh de bas tu sabke har gam ka
Hansi ki siyahi se jawab
Jo nain nain nain sabke tarse
Pyar pyar pyar tujhse barse
Khushiyon ki pyaari dhun bana ke
Aangan ko saja
Khoob thaka tu apno ki wajah
Apno ke liye thahar ja thaher ja
Thahar ja, thaher ja
Apno ke liye thahar jaa